Backlinks Se Traffic Badaye

1 comment

Traffic Badane Ka raj -back link

Apni post Ki ya apne blog Ki traffic badane ke sbse achcha secret hai apke blog ke Backlinks . Or apne Backlinks badane Ka sbse powerful tarika hai apne content Ki competition badana . Jab kisi achche Methods Ki sahyta li jati hai to uske liye effort lagta hai.

Iske liye sbse Jruri hai ye samjna Ki Backlinks kya hote hai , or ye kya krte hai apke content ke liye. Aap Yaha pr apne content ke Backlink building ke baare me jyada effective tarike se samaj skte ho.

Backlink Kya Hai

Backlink ek apke content Ka  hyperlink hota hai Jo kisi dusri website pr hota hai. Backlink Page rank ko badane ke important hota hai. Or Backlink ek bhi good quality wala hona chahiye tabhi wo kam krega . Backlink important isiliye hote hai kyoki Google me apki 10 achchi chije kisi dusre 200 chijo se Google search me high ranking dikhata hai. Isiliye apko usme sudhar krna jaruri hai. Backlink build hone me time le skta hai kyoki apne jis site pr Backlink choda hai kaha pr use dekhne wale ko thik lagna chahiye tabhi wo usse apki site pr aa skta hai. Or apki site ko jyada value de skta hai. Agar aap ek good Backlink add krte ho to jaise long term strategy to usse apko bahut hi reward points mil skte hai . aap kuch interested way se ek achche Backlink build kr skte ho. Or usme safalta hasil kr skte ho.

Post ko lamba likhe or interesting Banaye

Backlink banane Ka sbse aashan tarika yah hai Ki apne
Post Ke tutorial ko Achcha likhe or thoda Lamba likhe. Or usme  chart, Graphic
, images Ka istemal kre. Apka post ek good information wala hona chahiye. Usme wo likhna jaruri hai Jo kisi ke liye jayada mahtav rakhta ho. Ye Jaruri hai Ki aap usko kya smjhana chahte ho .

Community me Participate krna

Wo insan Jo community me hamesa active rahta hai. usme logo Ki help krke aap ek high quality ke Backlink build kr skte ho. Ye Jaruri nahi hai Ki aap unse help ke badale kya umid rakhte ho.

Spacial Day Post

Ye ek Bahut hi easy way hai Backlink build krne Ka . Aap Kisi Spacial day pr achchi post likhe . kuch best offer de spacial day pr. Lekin apko Iske baare me thodi Research krni hogi Ki kon se spacial day sbse achcha lagta hai. Taki unki pasand Ka content likh sko. Lekin inme se valentines day ek sabse achcha day hota hai jisme sabhi kuch Na kuch share krne Ki sochte hai usse apko high quality Backlink build krne me madad milegi.

Kisi Dusre blog se Jud kr

Jab aap internet pr kuch read krte ho ya kisi ke blog ko dekhte ho to  comments me kebl ye kahkr mt chale Jana Ki good job ya good things, and Well post ,balki ek meaningful comment kre taki agar usko koi dekhe to hyperlink Ki madad se apke comment Ki tarah hi blog ko bhi review kr ske. Kisi dusre blog pr apna link dena bhi apko achcha Backlink mil skta hai.

Guest Blogging

Agar aap ek great impression banana chahte ho to guest Blogging ek achcha vikalap hai. Ek achchi si jagah dekh kr aap guest blogging de skte ho or tab tak likh skte ho jab tak apki post viral Na ho jaye. isse aap kaval audience hi nahi bna paoge balki bahut Backlink bna skte ho. Dekho isme time to lagta hai . apko effort to uthana hi hoga kyoki blogging me impression jamane ke liye apko ye to jarur krna hoga.

Guest blogging ek powerful rewards points bna skti hai bajaye kisi or ke . isiliye yadi apke pass time hai to aap apni services Ki marketing kr skte ho guest post ke dawara.

Ye kuch methods the Jene aap follow krke high quality Backlink bana skte ho or apne blog Ka traffic badda skte ho.

Agar apko koi blogging me help chahiye to aap mujhe comment kr ke bta skte ho . mai usko Jaldi hi uska solution   nikalne Ki kosis kruga taki                  apko ek bahatr blogging ke baare me bta sku. धन्यवाद

9 Tips To Create A Best Post In Hindi

Leave a Comment
Best post likhne Ka assan Trika
Achchi Post Traffic Badane Mai Bahut Madadgar Hoti Hai . Lekin Achchi Post Likhne ke Trike hi use achchi post bnate hai . Aaj mai apko ek top ranking post kaise likhte hai ke baare mai btauga. Aap Post kisi bhi vishay se related likh skte ho .

Post Likhne Ke Trike :


(1). Post Ke Suruvati Sabdo Ko Heading Ke rup mai likhna chahiye .
(2) Post Ko  Ki tarah likhe taki Padne Wale ko Achchi lge .
(3) Post mai ese Sabdo Ka Pryog kre Ki Padhne Wala Puri Tarah se Smjh ske Ki aap kya kahna chahte ho. Or Wo kya chahta hai.
(4) uski sahyta comments se jrur kre .
(5) Post ko kabhi bhi kisi Ki  copy - Paste Na kre .
(6) copy paste wali site ya blog ko Google sbse km rank deta hai .
(7). Achche Images Ka pryog bhi apki Seo ko sudhar skta hai.
(8). Post likhne ke liye apne dhyan ko sirf or sirf apni post pr hi kendrit kre.
(9) Post ko prabhvshali bnane Ki Kosis kre n Ki use uljhane Ki nhi.

Blogger Vs WordPress in Hindi

5 comments
Blogging ke mamle me World Ki do Big Services hai Blogger Or WordPress. Ye important nhi hai Ki aap internet pr kya krte ho, fir bhi inki ahmiyat ko nkar nhi skte. Ye online content community me dono Ek important role ko play krte hai.

Yadi aap ek blog start krte ho ya apni current layout me kuch major changes krte ho To apko sabse Jruri chij faced krni hogi or wo hai achche blog Platform ko choose krna .
Cmdjoin
or ye mahtavpurn bhi hai Ki blogger or WordPress me se kise chuna jaye. Or dono services hi bahut lok priye hai. Lekin apko choose ek ko hi krna hai. To ghabrane Ki jarurt nhi hai apko kyoki hum yahi smjne ke liye is blog ko apke liye simple bhasha me likh rhe hai taki aap blogger or WordPress ko samaj sako. To chliye inke bare me baat krte hai.

Blogging Start Krne Se Pehle Samaje


Apne Dekha hoga Ki WordPress ke do face ko WordPress.com. or WordPress.org. ko  lekin dekhne me dono same hai lekin Practically dono agal hai. WordPress pr hosting Ki jarurt hoti uski Maintenance ke liye apko  usko apko Paise lga kr Thik krna pd skta hai. Or .org. Me apko sirf hosting Jruri hai buy krni. Jaha pr uski maintenance or dusri sevao Ki jimevari apki khud Ki hogi.

To ab apko post me kahi bhi agar word " WordPress" likh hua mile to samaj  Lena Ki hum WordPress.org. Ki baat kr rhe hai.


Dono ki User Friendliness 


WordPress ek clear Front door blogging platform hai. WordPress ke founder Matt Mullenweg  ke anusar Di gya jankari me duniya Ki 18.9  internet WordPress pr run hai. Comparing me 2012 ke ek serve ke Anusar Duniya ke sabhi  blog WordPress pr 43% or blogger Pr 35%
Or baki Ke blog tumblr or baki Ki blogging services.

Jab blogging suru hi krte hai to WordPress Ka chunav krna achchi baat hai lekin WordPress me ek problem hai ise new beginners ke liye  designs nahi kiya gya Jo blogging ko apni hobby banana chahte hai. WordPress Ka blog banane ke liye apko kuch Basic Knowledge honi jaruri hai. Jaise hosting, bandwidth or basic of HTML  or SEO Ki Jankari .

Kuch Hosting Companies apko WordPress Ka blog banane ka idea se skti hai. Or apko wo ise ek click me download krne ka lobh de skte hai. Aap WordPress me uska sub domain use krke blog ko tyar kr skte hai lekin usme earning nhi kr skte us blog ko wo ahmeyat nahi mil skti. Jo blogger ke sub domain ko mil skti hai.

Blogger Ki baat kre to ye Google Ka hi product hai. Ye pura hi Google ke adhin hai. Blogger me aap apne gmail ko use krke blogging starting kr skte ho . or bahut hi easy hai. Apni blogging yatra Ki survat blogger se suru kre to ek bahut hi achcha anubhav parapat kr skte ho. Blogger me apko hosting lene Ki jarurt nhi hai.

Dono Platform me theme modification Ki hoti hai .dono apko helpful post Ka area pardan krte hai.
Blogger ko easily samj skte ho . bina kisi sahyta ke.


Gadgets, Widgets & Plugins Ka Use


Jab baat plugins Ki baat aati hai to dekha jaye to WordPress me apko bahut sare safe plugin mil skte hai . bjaye blogger ke lekin blogger me bhi aap bahut widgets Ka istmal kr skte ho . Blogger se aap pura satisfied ho skte ho sikhne ke hishab se .

SEO Ki Jankari


Sabhi log blog ko Paise ke liye hi nhi bnate . kai to likhne ke shokh se bhi bnante hai. Or jab apne blog banane Ki soch hi li hai to apko SEO term ko samajna hoga.  Jo Ki blogger Google Ka hi product to vo pehle ranking usko hi dear skta hai . bjaye WordPress ke . blogger ma matlab hai Ki wo apne SEO ko automatically optimize kr deta hai . or WordPress ke liye apko iski jyaga knowledge Ki jarurt ho skti hai.

Ab Blogger Or WordPress  Ka use


Ab baat kre to dono services best hai lekin apko sikhne ko dhayan me rakhte hue mai apko pehle blogger use krne ko salha deta hu .aap bad me WordPress pr shipt ho skte hai. Lekin pehle aapko blogger use krke blogging ko samjna hoga .
To apki blogging yatra ke liye best of luck .

Apko ye jankari kaisi lagi comment se jarur btayiye . धन्यवाद

AdSense Me Kitne Maximum Ad unit Ka Pryog Kr Skte Hai

1 comment
Hum Sabhi Jante hai Ki AdSense ek high-paying ad network hai.
Isi karn se iski Policies itni strict hai. Yadi AdSense ko apki website/ blog me kuch violation dikhayi degya to apke  account ko forn disable kr dega. Yah bahut hi jruri hai Ki aap AdSense Ki program guidelines ko dhyan me rkhe . hr kam ise dhyan me rakh kr kre ,wrna apka account block ho jayega.
New blogger ka ek common sa swal hai Ki hum ek single page me kitne maximum ad Units lga skte hai.
Mai apko bta du Ki Google AdSense apko bahut tarah Ki ad or unke formats prdan krta hai .

• "AdSense content unit "
• " AdSense ki link unit ad
• " AdSense for search "

Inko vistar se btata hu »
In teno ad unit or unke formats ke baare me bistar se btaya gya hai..
• AdSense Ki Content ads units
Aap content mr 3 ads units Ka Pryog kr skte hai.
Unke formats or size ke nimnlikhit ho skte hai..
728×90,  468×60,
 234×60, 125×125,
 120×600, 160×600,
180×150, 120×240,
200×200, 250×250,
300×250, 336×280,
Agar meri mane to 336×280 or 160×600 ki effective mani jati hai. Or inme se koi bhi format use kr skte ho. Lekin yaad rhe AdSense apko 3 ad unit hi lgane Ki kahata hai.

• AdSense Ki link ad units

Link ad unit bahut Ki performance bahut hi achchi hogi hai. Jab isko Navber mai ya top me place kiya jaye .or aap ek page me maximum 3 link ads ko lga skte ho. Link unit ads ke  bhi  content ad unit Ki tarah hi different -2 size or formats hote hai. Lekin inko aap sirf 3 hi lga skte ho.

• AdSense Search Ke liye



Aap ek page me 2 AdSense search unit lga skte ho. Inki performance bhi achchi hoti.
Aap maximum number of ad unit ke baare me jyada janne ke liye यहाँ click करें |
Maine search krke ye Tay kiya hai Ki kai baar 3 ad unit Ki bjaye 2 ad unit jyada faydemd hoti hai. Or image + text jyada better result deti hai.
Apko ad placement ke bahut options mil skte hai lekin post ke bich me or sidebar me achche result mil skte hai.
To an jante hai Ki aap blog/website me kitne ads unit Ka Pryog  krta hai ya maximum se kitne km ads unit lga rhe ho.
तो दोस्तों अगर आपको ad unit बनाने या लगाने में कोइ दिक्कत आ रही है तो आप मुझसे Comments में पुछ सकते  हो | धन्यवाद

Google AdSense Account Kaise Banaye

1 comment

Blogger hone ke nate apne Google AdSense program ke baare to suna hi hoga. AdSense ek world best contextual advertising Program hai.  Or is post me mai apko Google AdSense account registration krna ya banane ke bare me btane walu hu. Internet pr or bahut sare AdSense alternative ad network hai .isse koi fark nhi pdta Ki aap kon sa advertising network use krte ho.

 Jo blogging me suruvat kr rhe hai , ya Jo AdSense  ke baare me nhi Janet mai unko btana chahta hu Ki AdSense ek advertising network hai. Jo Ki Google ne hi start Kiya hua hai. Jo apke blog pr dusre ad network Ki tarah hi ads show krta hai. Or jab koi un ads pr click krta hai to uske Paise apko milte hai.


Is post me mai apko isi ke baare me btauga unhe jinone kabhi AdSense ko apply nhi kiya hai .

AdSense Ki kuch basic requirements hai Jo apko har hal me puri krni hogi ya apply krne se pehle apke pass honi chahiye. Pehli  , apke pass ek blog/ website honi chahiye. Dusri apko 18 sal ka ya usse upr Ka hona jruri hai nhi to apko apne parents Ki details use krni hogi.

AdSense ko approval krane ke process bahut lengthy hai. Yeh process apko AdSense ko maintain krne mai madadgar sabit hogi.

AdSense apply krne se pehle apko ye dekhna Jruri hai Ki apka blog AdSense Ki policies ke kabil hai ya nhi . ye dekhne se pehle apko AdSense Ki terms or conditions ko padna hoga . Jo Ki apko AdSense ke sign up page pr mil jayegi.


➢ AdSense ko sign up krne ke liye apko kuch steps Ki jrurt hogi , Jo is Prkar hai -:


Agar aap blogger use krte ho AdSense sign up page  apko Earning Tab mai mil jayega . apply for AdSense pr click kro or fir apko create an account or choose your existing Google account dikhega aap koi bhi choose kr skte ho .


• Website Ki  Details 


Or aage chal kr apko , apni website/blog Ka address or blog/ website Ki Language dalni hai.

Yaad rhe apki site Ka address apki site Ka (URL) hi hota hai. Or wo bina http:// ke hi dalna hai.


• AdSense contact details


Yeh ek important part hai or mujhe yaad hai Ki bahut sare log ismai galti kr dete hai . lekin neche ye smjaya jayega.

Usmai ek *Payee Name*  me hi sbse deyan dene yogy baat hai. Is me apko wo name dalna hai Jo aap name aap bank account me use krte ho. Isi name se Google apko apki mahnt Ka fal (money) bejega.
Agar apne isme galti kr di to apko bahut hi muskil ho jayegi . To dhayan se ye name dalna . or baki me apni contact details or duari information dalni hai .


• Accept Google AdSense Policies 


Ek baar jrur Google Ki policy ko pad Lena hoga . or niche 3-4  box me mark krna hai. Or ye krne Ka baad apko 'submit' ke button pr click krke submit krna hai. Or agle page me apni  details ko check krna hai , information or details bilkul sahi hai Ki nhi. Or ek baar AdSense sign up krne ke bad ek ad unit banan kr apko AdSense code ko apne blog mai dalna hai. AdSense Ki team apke blog me code dalne ke application ko dekhegi . or fir account ke approval ya disapproval ke baare hai btayegi.
अब मैं आशा करता हूँ की आपको Google AdSense account बनाना आ गया होगा.
अगर आपको AdSense Account बनाने में कोई दिक्कत आ रही है तो आप मुझे Comment करके बता सकते हो . धन्यवाद

How to Copy any Files and Folder

Leave a Comment

Steps to copy the file or folder are : 

1. In My Computer or Windows Explorer, click the file(s) or folder(s) you want to copy.
2. On the edit menu , click copy .
3. Open the folder or disk , where you want to put the copy of file(s) or folder(s)
4. On the edit menu , click paste.

Note =»»
• select more then one files or folder , hold down the CTRL keys then click the item you want to copy or move .
• Shortcut key for copy is CTRL+C.
and Paste Shortcut key is CTRL+V

Text Widget

About me

Contact Form

Name

Email *

Message *

Recent Posts